BastiuN ki bastiaaN veeraan ho kay reh gaeeN
Chand lamhoN meiN qayaamat ka samaaN yooN chhaa gia
Her taraf bikhrey yooN beybas bay-karaaN insaan haiN
Aaur hazarooN apney hee ghar meiN dafan khamoshe haiN
Un-ginat masoom bachay khoon meiN luthray hooway
Un-ginat insaaN apahaj jism meiN jhakray hooway
Bhook aur pias kee shiddat saiy murjha-ey hooway
Rooh kaiy dard-o-azzeat saye yooN kumlaey hooway
Baye- saro- samaaN kharey haiN zindagee kay mor par
Mun-tazir haiN baye- basee maiN rah-matey aghyar kay
Aap kay jaz-ba-ey deeN jaz-ba-ey eesar sey
Kuchh madawa ho sakay ga zulmatey adwaar ka
Ejaz.